Achchi biwi aur patni zindagi kese jiye ?
Shadi ke baad ek aurat kese zindagi jiye is topic par bhut
kuch likha ja sakta he. Kai bate our tips is topic par di ja sakti he. Jaise saas
bahu ka rishta, nanad aur dewar dewrani sasoor etc.
lakin filhal humari ye post ghar kharch yani ghar ke budget ke
bare me he.
Is door me jab ke mehnagi asman choo rahi he zaroori he ke
ghar ke kharch ko behtar tarike se chalaya jaye. Ek samajhdar biwi (patni) apne
aadmi ki amdani ke mutabiq hi kharch karti he. Agar income kam ho aur expense (kharcha)
ziyada to phir na sirf ye ke ghar sahi tariqe se nahi chal sakt balke ghar me
miya bibi ke beech jhagde badh jate he.
Biwi ko chaiye ke wo ghar ke kharch me apne admi ka sath de.
Kai bar aurte apni padosan ke................
achche kapde dekh kar foran hi mutassir ho jati he. Aur phir kapde ke liye kharch karti he chahe gunjaish ho ya na ho.
achche kapde dekh kar foran hi mutassir ho jati he. Aur phir kapde ke liye kharch karti he chahe gunjaish ho ya na ho.
Ek samjhdar aurat apne ghar ke har kharch par control rakhti
he. Zaroorat ke saman par hi kharch karti he.
Admi bhi ek insan he aur uska apna ek mizaj yani nature hota
he achchi biwi apen admi ke mode ko samajhti he aur uske mizaj ke mutabiq moqa
dekh kar usse ghar kharach ke paise mangti he.
Mard office ya kisi aur kam se jab raat me ghar pahoonchta
he to wo thaka hua hota he. Aise me mard ke ghar ate hi aurat ko ghar kharch ke
bare me bate nahi karna chiye. Sabse pehle apne shohar ko aram ka moka de,
khana khilaye aur moqa dekh kar hi paiso ki bat nikale. Narmi se kam le.
Jab admi apne kam kaj ki preshani se guzar raha hota he tab
uske mizaj me chote bachche ki tarha chid-chidapan paida ho jata he. Is moqe
par apne husband (pati, shohar) ko kisi tarha ka tana na mare use aur ziyada
preshan na kare.
Jab ghar ke halat achche ho to us waqt musibat ke waqt ke
liye ya koi emergency halat ke liye rupya jama krna bhi samajhdari ki baat he.
Aap chain to ek page par poore week (hafte bhar) ka ek chart
bnaye aur poore hafte kis din kiya khana bnana he use likhe aur apne ghar ki
income (amdani) ke hisab se jo behtar aur munasib ho khana bnane ka time table
bnaleye is tarha roze aap ke dimagh me uthne wale is sawal se bhi bach jaingi
ke aaj kiya banain ? aur phir aap ko apne kharch ke mutabiq ghar ko chalne aur
preshani se bachne me bhi asani paida ho jaeygi.
{ meta tage : after wedding new groom best life way leaving home management income }
{ meta tage : after wedding new groom best life way leaving home management income }
No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.