Best friends yani achche dosat banaiye
Zindagi kese jiey is sawal ke jawab ko jab hum talash karte
hain to ye bat hme pata chalti hai ke insan apni zindagi akele tanha nahi guzar
sakta use zindagi me dusro ke sath ki zaroorat zaroo padhti hai. Apne dukh
dard aur apne dil ke hal ko apne doosro ko btane ki wjah se aapko badi rahat
milti hai.
Zindagi me friends ki badi ahmiyat yani importance hae.
Friends jise hindi me mitra aur urdu me dost kehte hae. Dost wo hota he jsse
aap apni life ke bhut se raaz aur har tarha ki baat baghir jhijhk aur sharm ke
kar sakte hai. Dost wo hota hai jo.................
aap ki har khusim me bhi shrik ho aur gham va musibat me bhi sharik ho.
aap ki har khusim me bhi shrik ho aur gham va musibat me bhi sharik ho.
Friends ka selection badahi soch samajh kar karna chaiye.
Dost se dost karte waqt is baat ka bhi khyal rakhe ke wo samajhdar aur achcha
ho buri adat usme na ho khastor se kisi nashe ki adat na ho.
Aur jab aap kisi se dosti kare to kuch aur bate aise he jin
par bhut dhyan dene ki zaroorat he. Jaise ye ke dost ki dsoti aisi bhi na ho ke
aap ke ghar ki aurton yani aapki behan ya bhabhi ya biwi se itna close na ho ke
koi nai problem khadi hojaye. Yani ek had tak ghar me aurton biwi behan ya koi
aur jwan aurton se doori rkhna bhi samjhdari ki baat he. Dosto par pura bharosa
rakhna ek achchi baat he lakin ye baat aisi he ke isme kai bar insan jazbat me
akar galti kar deta hai ladka ladki me aapsi khinchaw attraction hota he jiski
wajah se aap ka dost na chakar bhi aapki behan ya biwi ya kisi aur aurat se
galt talluq bnane ki tarf qadm badha sakta he.
Dear Readers, Zindagi achchi ho aur kisi tarha ki preshani
na aaye is liye in choti choti bato ka bhi khyal rakhna bhut behtar he.
Dost ko apni preshani zaroor btain ho sakta he aapki
preshani ka hal ya koi achchi ray aap ke dost ke dimagh me ho, aur aap ki
preshani ko hal karne me wo aapki madad kare.
Dost ki taraf se agar koi choti moti galti kabhi ho jaye to
use nazarandaz kare. Zara-zara si baat par apne dost se naraz na ho ye buri
baat hai.
good maza aya parh kar
ReplyDelete