Zindagi me Waqt “Time” ki kiya qimat he
“Time” jise urdu me Waqt aur hindi me samay kehte hain iski
insani zindagi me badhi ahmiyat he. Jo log waqt ki qdar nahi karte waqt unki
qdar nahi karta aur zindagi me unhe kai bar nakami aur musibat ka samna karna
padhta hai.
Jab koi shaks (viyakti, man) paida hota he aur dhere dhire
waqt ke sath wo badha hota jata he. Ab agr wo har kam ko waqt par karte jaye to
us ki zindagi khushgwar achchi banjati he.
Jese jab wo bachcha ho yani child age me ho to us waqt.......
poora poora dhyan study me de aur sath hi munasib time khil kud yani play me bhi de.
poora poora dhyan study me de aur sath hi munasib time khil kud yani play me bhi de.
Jab koi shaks nojwan ho jaye to phir is time ko golden time samjhe
aur ek pal, ek second bhi na gawye aur zindagi me kuch na kuch achcha aur naya
karte rahe. Jawani ka waqt bada hi qimti hota he. Is waqt ko sote hue na guzar
de. Kai young ladke sote bhut he aur apni zindagi ko unhi guzar dete hai. Phir
baad me pachtate he. Ek mashoor kahawat he ke “bachpana khle me khoya jawani
neend me soya budhapa dekh kar roya.” Jawani me jo kam kiye ja sakte hain wo
budhape me nahi kiye ja sakte hai.
Yahan hum ek aur bat aap se kehna chate hae ke jawani me
achcha kam-kaj yani business karne ki koshish kare aur jaise hi aap kuch achcha
kamane leg aur ape biwi bachchon ka kharch uthane ke qabil ho jain to phi sabse
pehle shadi zaroor karle. Waqt par sahdi karlene ke bht se fayde hain. Insan ki
zindagi me ek nai khushi aur ronak ajati hai.
“Time” ko bilkul hath se na jane dene ka pakka irada kijye
zindagi jeene me ek alag hi intrest paida ho jayega. Agar aap bilkul free he
koi kam nahi he to koi nai cheez sikhna shuru karde jaise agar aap ko english
achchi nahi yaad he aur aap ke pas time he to phir english sikhiye. Jobhi aap
kar sakte he khali time me kijye. Aur agar aap bhut beeze hain aap ke pas waqt
hi nahi he to aap apne din bhar ke kamo ka time table bnaye. Aur harkam ko
munasib waqt dijye. Is tarha aap apni zindagi ko behtar tariqe se manage kar
sakege.
No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.