What is Google Adsense ? ye Akhir he kiya ?
What is google Ad sense - Adsense kiya he ? aise websit aur blog publishers jo apne
blog par ad se kamai karne ke ichcuk, khuwahismand he unhe apne blog par ad
lagane ki permission deta he. ye ek HTML code ki shakal me apne blog ya website
par paste karna hota he. adsense program ek CPC (cost per click) program he.
adsense ke ad website aur blog se relevant ad hote he.
Ye un logo ke liye ek bhut hi achcha income ka sadhan he jo
online blog aur website par best article likhte he. aur unke blog visit kiye
jate he.
Google Adsense kasie kam karta he?..................
Adsense se kami karne ke liye ek blogger ya website holder
ko sabse pahle adsense ka account lena hota he. ye account lene ke liye aap
adsense.com par visti kare aur signup kare.
Is me jo form diya hota he use aap ko fill karna hota he.
aur agar aap ke pas blog he to ye account aapko blog ke monetize option ke
zariye bhi mil sakta he. Indian and Pakistani blogger ko adsense ka account
lene ke liye unke blog ka 6th month old hona zarori he. according my
knowledge aap meri di gai janakari ko adsense ki official website par check
zaroor karle.
Adsense account ke liye aap apply karege to Adsense team
apke blog or website ka nirikshad yani usko dekhkar ke maloom karte he ke ye adsens
ki police par khara utarta he ya nahi ? agar aap ka blog aur website adsense police
ke mutabiq sahi aur right he to apka ad sense account approve ho jayega jiska
ek email apko mile ga.
Ad sense: - Phir ap adsens ke ad apni website blog ya portal par laga
sakte he. ab jab bhi aap ka blog dekha jayega aur agar dekhne wala ad ko dekhta
he open kare ke to phir ye CPC programe ke mutabiq apke adsense ke account me
ammount ana shuru ho jata he.
Jab aapki adsense income 100$ tak pahunch jati he to phir
adsense apko payment issue karta he. Payment method me aap ko apne payment ko
hasil karne ke liye method ko select karna hota he. india me standard cheque delivery
ka option abhi tak available he, According my knowledge. India me adsense blue
dart service ke duwara payment ka chek diliver karta he.
After approve account: - Ad-sense account approve hone ke baad ek process address verification
ki hoti he, is me adsense aap ke address par ek PIN via post send karta he. is
pin number ko aapko apne adsense account me verify ke option me dalna hota he agar aap is process ko complete
karlete he. to aap ka ad sense account scusese ho jata he.
Adsense ke bare me aap ke sawal ka hume intezar he. hum unke
behtar jawab dene ki koshish karege.
No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.