Wednesday, 13 November 2013

Kam bolna chaiye kiya kare ?



Kam bolna chaiye kiya kare ?

Bolna jaha bhut acchi baat he wahin adihk bolna yani ziyada bolan nuksan dene wala he, Kam blone ke bare me islam ne bhi talim di he, islamic siksha ke hisab se kam bolna bhi ek ibadat (pooja) ki tarha he iska matlab ye bhi nahi ke kaam ki bate bhi na ki jaye balke kam blone ka mtalb yeha he ke LAYANI bate jinka koi fayeda hasil na ho na duniya me aur na akhirat (parlaok me daharmik tor se) koi faida na ho.
Hume kam tabhi bol sakenge jab k hom iski importance jante honge.
Kam blone ka mehatva (importance) :-
Kam blone ka aik faida ye hota he ke aap ki baton ka mehatva yani wazan badh jata he, agar aap ziyada bolte he to logo me aap ki baat ki ahmiyat importance khatam................
ho jati he. lakin aap jab kam bolte he to phir loag aap ki baat par dhyan dene lagte he.
Kam blone se aap kai musibato se bach sakte he adhik bolne k natije me hota ye he ke aap ke munh se kuch aisi bate nikal jati he jo kisi ko bhut buri lag sakti he aur phir aap ka usse jhagda bhi ho sakta he. aur istarha aap ko nuksan ho sakta he.
Bloa zaban se jata he aur Zaban ke bare me ek baat ye bhi kahi jati he ke teer aur talwar ka zakham bhar jata he lakin zaban ka zakham (jeeb ka ghaw) asani se bharta nahi hai.
Jis tarha kaman (dhanush) se nikla hua teer waps kaman me nahi aasakta usi tarha Zaban se boli gai koi baat bolne ke baad waps nahi ho sakti.
Kam bolna ek aqalmandi yani samajhdari he, ziyada bolna bewkufi aur na samjhi he.
Aap dekhte he ke jab koi maa apne bachche ko bhut ziyada tokti he ziyada blone ki wjah se bachche aisi mother ki baat ko manna chod-dete he. jab ke aagr koi maa ya aamtor se father (pita, walid) kam bolte he bhut ziyada na blote he to phir bachche unki baat ko ahmiyat dete he aur unki baat sunte aur mante he.
Kam blone ke liye kya kare?
Kam blone ke liye aap ko sirf ek hi kam karna he wo he  Pakka Irada jise hindi me Druand Nishchaye aur English me Will Power kahte he. Aaj se hi pakka irada kar lijye ke aapko Kam blona he.
……agar main bhi ziyada bolonga (lamba article likhunga) to ho sakta he aap bor ho jaye aur aap par in baaton ka achcha asar (impression) na padhe is liye enough.

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.