Tuesday, 12 November 2013

Eyes care ( Ankho ki dekhbahal ) tips in hindi in urdu



Ankho ki dekhbahal tips in hindi in urdu :-

Eyes yani Ankhe prakati ki ek bhumuliya den he yani ye qudrat ko ek aisa inaam he jiski koi qeemat nahi lagai ja sakti, Eye yani ankh agar na hoti to hum malik ki bnayi hui rangeen duniya ko na dekh pate, is ran birangi duniya me jo kuch he use dekhne se ek skoon hasil hota he, anand prapt hota he.
Eyes jise hindi me naina aur aurdu me ankhe kehte he in ka kahs kyal rakha jana chaiye.
Ankho ki Dekhbhal kaise kare :-
T.V. & Computer :- T.V. aur computer ke samne lagatar 2-3 ghante biathne se bache agar aap computer job karte he to phir monitor screen se kuch doori bnaye rakhe isse ankho par effect kam padhega.
Subah Subah, morning me jaldi uth kar ser aur tafreeh ke liye kisi hare bhare bagiche me, garden me jaye aur hari (Green) pattiyo ko dekhe..............

Din me kam se kam 5 baar apni ankho ko saf pani se dhoye.
Agar lagatar kisi ek hi light wali chize jaise computer screen mobile screen ya tv screen ko dekhna pad raha ho to har kuch minute ke baad apni nazare screen se hatakar kahin aur le jaye.
Taza falo ka ras, fresh fruit juice se aap ki anakho ko kafi raahat milegi, juice ke istemal se eyes me zaroorat ke mutabik nami bane rehti he.
Ankho ko kabhi bhi ziyada jor se na ragdhe.
Ankho me zyada takilf, pain ho to phir kisi acche optical Doctor ko zaroor dikhaye.

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.