Sunday, 22 September 2013

Shadi shuda aurat zindagi kaise jiye



Achchi biwi aur patni zindagi kese jiye ?

Shadi ke baad ek aurat kese zindagi jiye is topic par bhut kuch likha ja sakta he. Kai bate our tips is topic par di ja sakti he. Jaise saas bahu ka rishta, nanad aur dewar dewrani sasoor etc.
lakin filhal humari ye post ghar kharch yani ghar ke budget ke bare me he.
Is door me jab ke mehnagi asman choo rahi he zaroori he ke ghar ke kharch ko behtar tarike se chalaya jaye. Ek samajhdar biwi (patni) apne aadmi ki amdani ke mutabiq hi kharch karti he. Agar income kam ho aur expense (kharcha) ziyada to phir na sirf ye ke ghar sahi tariqe se nahi chal sakt balke ghar me miya bibi ke beech jhagde badh jate he.
Biwi ko chaiye ke wo ghar ke kharch me apne admi ka sath de. Kai bar aurte apni padosan ke................

Thursday, 19 September 2013

Zindagi me Waqt “Time” ki kiya ahmiyat importance he



Zindagi me Waqt “Time” ki kiya qimat he

“Time” jise urdu me Waqt aur hindi me samay kehte hain iski insani zindagi me badhi ahmiyat he. Jo log waqt ki qdar nahi karte waqt unki qdar nahi karta aur zindagi me unhe kai bar nakami aur musibat ka samna karna padhta hai.

Jab koi shaks (viyakti, man) paida hota he aur dhere dhire waqt ke sath wo badha hota jata he. Ab agr wo har kam ko waqt par karte jaye to us ki zindagi khushgwar achchi banjati he.

Jese jab wo bachcha ho yani child age me ho to us waqt.......

Zindagi me friends ki zaroorat, dost kese hona chaiye in hindi/urdu



Best friends yani achche dosat banaiye

Zindagi kese jiey is sawal ke jawab ko jab hum talash karte hain to ye bat hme pata chalti hai ke insan apni zindagi akele tanha nahi guzar sakta use zindagi me dusro ke sath ki zaroorat zaroo padhti hai. Apne dukh dard aur apne dil ke hal ko apne doosro ko btane ki wjah se aapko badi rahat milti hai.
Zindagi me friends ki badi ahmiyat yani importance hae. Friends jise hindi me mitra aur urdu me dost kehte hae. Dost wo hota he jsse aap apni life ke bhut se raaz aur har tarha ki baat baghir jhijhk aur sharm ke kar sakte hai. Dost wo hota hai jo.................

zindagi ko behtar kese bnaye tips in urdu in hindi



Zindagi kese jeye tips :-

Jab hum Janwaro ki zindagi ko dekhte hain to inki zindagi ka maqsad hume iske siwa nazar nahi ata ke wo subah se sham tak sirf khana khane aur usko hazam karke nikalne ke siwa zyad kuch nahi karte.
Ab agar ek insan bhi apni zindagi me sirf itna hi kare ke khana khaye aur usko hazam kare ke use bahar gandgi ki shakal me niakl de to pir insan aur janwar ki zindagi me koi khas praq nahi rehjata hai.
Hum ek insan hone ki hasiyat me zindagi kese guzare ye bahut khas sawal he.

  • Subse pehla kam to hume ye karna chaiye ke hum apni zindagi ka koi maqsad ( am, uddesh ) tay kare. Be maksad zindagi be matlab hoti hai.

  •  Zindagi ka nasbualin jise english me am, hindi uddesh, urdu me maqsad kehte hain isko tay karte waqt is baat ka dhyan rakha jaye ke ye apne aap ke fayde ke sath doosre logo ke liye bhi faydemand ho.

  • Doosra kam ye ke humare sath jo doosre log hai unse jo humare rishte hain un rishto ko achche tariqe se nibha ne ki koshish kare. Is se aap ki zindagi me ek skoon bhi ayega aur aap ko khushi bhi mehsoos hogi.

  • Mother – Father ke rishte ko achchi tarha nibhain. Humar mammi papa yani humare abbu ammi duniya ki ek badi naemat hain yani good gift hain. Jin logo ke mother father dono ya dono me se ek expire (inteqal, shant,) yani marchooke hote hain. Un logo ke dil ka hal poocho unhe kaisa lagta hai ? Isliye hume apne mata pita, abbu ammi, Mother father ka khas khyal rakhna chaiye humari zindagi jine ke tariqe me ise bat ko shamil zaroor karna chaiye ke hum apni bhag-dodh ki zindagi me se kuch waqt nikal kar un ko jinhone hume paida kiya our hmari parwarish ki he zaroor den.
  • Zindagi tanaha nahi guzari ja sakti hai. Hume apne dukh dard doosron se share zaroor karna chaiye. Agar aap ladki hain to apni maa ya apni behan se ape problem share zaroor kare. Iske sathi achche daost friend ka hona bhi bhut zaroori hai. Dost yani best friend ke chunaw me is baat ka khas khyal rakhe ke usme koi buri aur gandi adat na ho. Achche doston ki sohbat sangat aap ke liye faydemand hogi aur behtar zidngi ke liye ye bhut zaroori hai. Hum jen dosto me uthte baithte hain. Unki achchai aur unki burai ke asrat hum par bhi padh te hain.
  • Zindagi ko achche aur behtar tariqe se guzarne me mal dolat yani rupye paison ki bhi badi ahmiyat hai. Aisa nahi he ke zindagi me paisa rupya hi sab kuch hai lakin aisa bhi nahi he ke paiso ki zindagi me koi zaroorat hi nahi. 
  • Jaiz aur halal kamai ke zariye se paisa kamana zaroor chaiye. Agr aap ki umar kam he to future me aap kamane ke liye kiya rasta chunna chate hai. Konsa job karege apki soch aur interest ke mutabiq abhi se planning kare take badhe hokar diqqat na aye. Aur agr aap is umar ke hain ke aap koi kam karte hain. To paiso ko sahi jagah kharch karen aur fizoolkharchi se apne aap ko bachain. Paisa kamana jitna muskil he kharch karna utna hi asan he. Aap na to kanjus makhkhi choos ki tarha paisa rupya bachbach kar rakhe aur nahi hi bigdel Badsha, raja ki tarha fizoolkharchi kare. Balance ke sath kharcha karne se zindagi me ane wali musibaton se bhut had tak bacha ja sakta hai.
  • Kisbi kam ko apne waqt par karna use talna nahi chaiye. Ye mashoor kahawat aapne suni hogi ke ‘’jab chidya chuk gai khait ab pachtawat kiya hoye” matlab ye ke jab kis kam ka waqt nikal jaye phir pachtane se kuch nahi hota. Misal ke torpar Exam se pehle padhai karna, agr aap study nahi karte aur exam ajte hain to phir aap ke pas waqt nahi bachta aur is tarha exam me fail ho sakte hain. Is liye kam ko apne waqt par poora karne ki adadat baniye ye mat kahiye ke koi kam aj nahi kal karlenge.
  • Hamesha khus rahiye, khush rehne ke liye zaroori he ke choti choti baton ke tension dimagh par na rakhe. Apne ghar walo ke sath aur apne doston ke sath hmesha acche tariqe se paish ana aur unki choti-moti bato ka bura na manna, khus rehne ke liye zaroori hai.
  • Na zyada kam aur na bhut zyada bolna dono hi baat galat he. Isse aap apne dost rishtedar aur doosr logo ke bech na pasandida shakhs ban jayege. Jab bhi kisi se mile to usse bate zaroor kare uske hal chal ke bare me puche aur aise bat jo use buri na lage usse kare lakin bhut zyad bhi na bole kam ke waqt bolna zyada na bolna kam bolna ye sab bate balance ke sath zindagi me apniye is se aap ki zindagi khusgawar bane rahegi.

Is tarha zindagi jeeye bhut hi maza ayega aapki zindagi khusgawar zindagi ban jayegi.
{best lief way wedding groom new dress ladies lady }