Sunday, 4 May 2014

English achchi kaise kare? How to do for better English? in Hindi



English achchi kaise kare? How to do for better English in Hindi?


Friend circle for Better English: - kisi bhi language pare command hasil karne k lye us language k bolne wale friend circle ki badi importance hoti ha. Agar aap apni English better karna chate ha to English language wale friends se friend ship kare it is a way for improve your English language. 

Read Books: - Books read karna bhi language ko better banane me bada important work ha. apni English ko achcha karne ke lye achchi English books read kare. First time aap jab koi English ki kitab read karenge to aap ko kafi boring lagega but dhire-dhire Aap ki English language improve hote jayegi.

Read English Novel: - Novel bade hi interested hote ha jab koi novel aap read karenge to aap ka interest bana rahega is take se bhi aap English me improvement hasil kar sakte ha.
Watch English News channels: - English ko achcha karne ke lye it mean apni Angrezi language ko improve karne k lye ek best trika ye bhi ha k aap English news channel ko watch kare is tarha aap apni English zaban ko better kar sakte ha.

Reading English news pepper: - English ko improve karne ke lye English news pepper ko daily read kare. It is very effective way for language improvement. Kisi bhi zaban ko better karne k lye news Akhbar ko padhna kafi faydemand hota ha.

Increase your vocabulary: - Apni English vocabulary ko badhaye. Jab bhi koi naya English word nazaro k samne se guzre us note karle. Daily 1 or is se zyada English word zaroor yad kare is tarha aap pure year me 365 Word bade hi easy tarike se yad kar lenge. Daily ek word bhut zyada nahi ho ta but hum ise continue nahi kar pate kunke hum is importance nahi dete but agar hum aaj hi se is point ko importance de to pata bhi nahi chale ga kab aap ne dhair sare English word yad kar liye ha.

English Page writing: - Daily minimum one page English me zaroor likhe. Likhne se bhi language ko improve kiya ja sakta ha. Daily one page write karne ki adat dale. Is se 2 benefits honge first writing thik hogi second language bhi thik hogi.

Conclusion: - Dear, kisi bhi work ko lekar hu kafi question karte ha and shuru me bade hi excite hote ha but bad me down ho jate ha and kuch nahi kar pate. Agar hume English language achachi karni ha to hum choti se choti tips par continue amal kare continuity se hi aap apni English ko improve kar sakte ha.

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.