Saturday, 9 June 2012

Bachoon ki parwarish kaise kare our bachoun ke jhagde

Har ek ghar me bache to hote hi hain. our jhan bachche zindgi ko sukoon bhari banate hain wahin bache zindagi ka sukoon bhi khatm kar dete hain, agar unki achchi parwarish na ho.
Bachchoun ke satha ek problem ye hoti he ke bache doosron bachchun se jhgada karte hi he, aise me swal ye uthta he ke -----
  • Jab bachche jhagda kare tab hum ko kiya karna chaiye?
  • Ghar ke bahar jhgdane par
jab bache ghar ke bahar kis se jhgda karte hain to do bate hoti hain ya to wo kisi ko maar-peet kar ate he ya phir maar kha kar yani pit kar ate hain. aise me aksar log apne bachon ko mar khane par naraz ho kar un par ghussa karte hain our kuch log doosre bachcho ko mar kar ane par khush hote he. iss me sabse behtar ye hai ke jab bachche jhgda kare tab hum dono ko samjhain ke jhgda karna buri baat he.
agar hmra bachcha kisi ko maar kar ata he to...........
hum use daten, sza ka dar dilain, uski beja tarfdari na kare, apni narazgi zahir karen.
our agar humara bachcha maar khakar ata he to foran hi shikayat lekar dosron ke ghar na jain.
jab bachon ki bat ko lekar badho me jhgde ki nobat ai to samjhain ke bachche hain ladkar phir ek ho jate he, hum badhon ko nahi ladna chaiye.

  • Ghar me jhgdne par
Bchche gharme chote hon ya bade hon jhgda karte hi hain, parent ko chiye ko wo dono me se kisi ek ki tarfdari na kare balki dono ko hi samjhain. in jhgdon ko samjhane ke baad iska bar bar zikar na kare, kisi our ke samne is ka zikar na kare aisa karne par bachon ko bura bhi lage ga our unki ye buri adat is tarha khatm nahi ho gi.

  • Akhir kya kya jai
agar bachche ke jhgda kar ke ane ki shikayate thodi bhut aain to zyada fikar ki bat nahi he. lakin jab ye shikayat zyada ane lage to fhir hum ko apne bachche ko achchi tarha samjhana chiye. mar ne pitne ke bjaye use samjhain ke jo bachye jhgda karte hain un se sab door rahte hain.

  • Jab bachche na mane
jab bachcha bar bar samjhane par bhi na samjhe to phir use pyar se samjhain. agr phir bhi na mne to thodi sakhti apnain, marpeet ki saza dene se behtar he ke use kuch our hi saza dain, jaise use uska cartoon na dekhne de. doston ke satha kuch waqt ke liye khelne par pabandi lgadain.
{meta tage child children life best management my baby child Custody }

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.